Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hain magar maut paas nahi aati,
Bahut udas hain hum is zindagi se,
Unki yaadein bhi to tadpane se baaz nahi aati
Is kadar hamari Dosti ka imtehan na lijiye!
Kyon ho khafa ya bayan to Kijiye!
Kar digiye maaf agar ho gayi galti!
yun baat na karke hame saza to na Digiye!
Aap na diwana kar diya,
ek bar dekh kar.
Aur hum kuch bhi na kar paya,
bar bar dekh kar.
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai
Bhari mehfil meiN tanha mujhe rehna sikha diya ,
uskay pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya,
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to,
Sab kucch zindagi meiN chup-chaap sehna sikha diya……….
Royegi aankh muskurane ke baad,
aayegi raat din dhal jane ke baad,
oh jaane wale zara mud ke to dekh,
shayad yeh zindagi na rahe tere jaane ke baad
Panese Khoneka Maza Aur Hai,
Bandh Ankhonse Dekhneka Maza Aur Hai,
Aansu Bane Lafz Aur Lafz Gazal,
Teri Yaadonke Sath Jine Ka Maza Kuch Aur Hai...
Husnko Chand Jawaniko Gazal Kehte Hai,
Chahnewale Tujhe Shokh-E-Gazal Kehte Hai.
Uff Ye Sange Marmar Sa Shaffaf Badan,
Dekhnewale Tujhe Tajmahal Kehte Hai...
Ab samjha main tere rukhsar is tilka matlab
lagta hai daulat-e-husn par koi darban bitha rakha hai...
Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Khoob lagta ye tere chahre pe ye tera neela aanchal,
Jaise ek chaand ko baadal ne chhupa rakha hain...