Humourous Urdu Poetry
jahaa.N gaaye the Khushiyo.n ke taraane
muqaddar dekhiye roye vahii.n par
hu_e masjid se gum juute hamaare
jahaa.N se paaye the, khoye vahii.n par

rail ke Dibbe me.n ye qissaa huaa
ek bachchaa zor se rone lagaa
maa.N ne samajhaane kii koshish kii bahot
us ko bahalaane kii koshish kii bahot
thak ke aaKhir loriiyaa.N gaane lagii
bijaliyaa.N kaano par barasaane lagii
das minute tak loriiyaa.N jab vo gaa chukii
til-milaa kar bol uThaa ek aadamii
"Behanjii, itanaa karam ab kiijiiye
aap is bachche ko rone diijiiye!"

jis din huaa paThaan ke murGe kaa intaqaal
daavat kii maulavii kii tab aayaa use Khayaal
murdaar murG kii hu_ii mullaah ko jab Khabar
saaraa badan sulag uThaa, Gaalib huaa jalaal
kahane lage khilaaoge mam gosht?
tum ko nahii.n zaraa bhii shariyat ka kuchh Khayaal
murdaar Gosht to shariyat me.n hai haraam
jab tak na zibaah kiijiye, hotaa nahii.n halaal
fatavaa jab apanaa maulavii saahab sunaa chuke
jhunjhalaa ke Khan ne kiyaa tab un se ye sawaal
kaisii hai aap kii ye shariyat bataaiiye
ba.nde ko kar diyaa hai Khudaa se bhii baa-kamaal
allaah jis ko maar de, ho jaaye vo haraam
bande ke haath jo mare, ho jaaye vo halaal
[mushaayaro.n me.n police vaalo.n kii 'duty' lagatii hai
aur vo ghar jaate jaate Khud shaayar ban jaate hai.n. Is
mauzuu par ek sher]

raftaa raftaa har police vaale ko shaayar kar diyaa
mahafil-e-sher-o-suKhan me.n bhej kar sarakaar ne
ek qaidii subah ko phaa.Nsii lagaa kar mar gayaa
raat bhar Gazale.n sunaa_ii.n us ko thaanedaar ne

ek shaam kisii bazm me.n juute jo kho gaye,
ham ne kahaa bataa_iiye ghar kaise jaaye.nge
kahane lage ke sher sunaate raho yuu.N hii
ginate nahii.n banenge abhii itane aaye.nge

bolaa dukaan-daar ke kyaa chaahiye tumhe.n?
jo bhii kahoge merii dukaan par vo paa_oge
mai.n ne kahaa ke kutte ke khaane kaa 'cake' hai?
bolaa yahii.n pe khaa_oge yaa.N leke jaaoge?
Poetry
Web Page Maker, create your own web pages.