Musafir tou bichartay hain,
rafaqat kab badalti hay,
mohabbat zinda rehti hay,
mohabbat kab badalti hay,
tumhi ko chahtay hain hum,
tumhi say piyar kartay hain,
yehi barsoon say aadat hay
aur aadat kab badalti hay,
usay chaha usay pooja,
yahi touqeer hay apni,
humein gumrah mat samjho,
ibbadat kab badalti hai…