yeh bheega sa mosam...
yeh jo nasha sa dil per hai chhaa raha
koi bheega sa badal dil ko lute ja raha

cher raha hai aaj mast pawan ka jhonka asie
jaise piya ka sandesha le ke dil per gajab dha raha

meethi si yeh fuhaar mere tan man ko bheego rahi
ek meethi si chuban ka ehesas kyu aaj mere dil mein ho raha

dil karta hai aaj ke bheege mosam mein hum kuch kar jaaye
bas ek ho tu aur ek ho hum ,aaj is barish mein kho ke rah jaaye

dil per ab apne kaabu kaise paaye hum
aaj tere daman se lipat kar bas tujhe mein khone ka sama ho raha
dil pe madhoshi ka nashila aalam sa chaaya hai
fizao mai barasta hua phir aisa mausam aaya hai

jhoom rahi hai hawaye bhi ghatayo ke sang-sang
khil uthe hai baag ,har kali ka man muskaaya hai

bhadak rahe hai dil mai chahat se bheege shole
bundo ne is qadar aaj tan man bhigaya hai

har saans ke saath jaag rahi hai nayi umange
is madmast sama ne dhadkan ka saaz bajaya hai

ke tujh bin akele mujhe dasti hai ye mehki vaadiya
ab to aaja aey sanjna ke sawaan ka mahina aaya hai
barsih kabhi yun bhi jalati hai
beegta hai badan jab toh ek aag si lag jaati hai

hoti hai jab paato per strsarhat boondo ke girne se
mere tan mann mein bhi ek bijli si kondh jaati hai

yeh sawan baras ke aur bhi bechien kar deta hai
uska barsana mujhe aur bhi pagal diwana kar jaata hai
bheeg jaati hai meri aankhein.
is barish ke aalam mai bhi
jab labo pe tera naam laata hoon
khamosh hoker,sabse chipake
ki kahi koi dekh na husn tera
barish ki bundo mai,main teri tasveer banata hoon

sirf chand palo ke liye bani us tasveer ko
jo mere haatho main aakar,
chaapak se gir jaati hai
apne haatho se uthakar main
apne hontho per sajata hoon................

aur jaise woh ek bund mere dil ke raste se
meri sansso ke zariye, meri jaan mai utar jaati hai
aur meri barso se pyaasi ruh ke har zaare ki pyaas bhujha jaati hai.

aur phir is bheehe mausam ki thandi hawao mai
teri yaadon ka ek sailaab aata hai
aur dil sab kuch bhulkar ......us ek sailaab mai
gum ho jaat hai ,kho jaat hai ,jaane kaha.............jaane kaha .........jaane kaha ,
in kaale badaalo ne hamse saajish ki hai
bheego ke mera tan mann ek aag si bhar di hai

ek pyaas si bhar gayi hai mere andar
aaj yeh badalo ne koi shararat si ki hai

bikhar rahi ek kushboo si hawao mein
aaj dil ne fir se tujh se milne ki gujaarish ki hai

dehakao ne mere dil ki aag ko a badalo
ki abhi piya ne apne aane ki baat nahi ki hai

jab aaynge mere piya toh tum barsana khul ke
hamne tumse apne dil se aaj yeh minat ki hai
dil ko mere hai tadpa raha yeh bheega sa mausam
man mai shola sa koi hai bhdka raha yeh bheega sa mausam

teri yaadon ke saaye mujhe jab aane lage nazar
unhe ashko se hai bheega raha yeh bheega sa mausam

bundo se bheega kar tan man mera saara
hai hosh ko behka raha yeh bheega sa mausam

aankhon mai ek kasish si tere deedar ki jagakar
phir ruh ko hai meri tadpa raha yeh bheega sa mausam

jis khawish ko main bhulakar jee raha tha ab tak
us sapne ko phir hai jaga raha yeh bheega sa mausam.
sharabi ilzaam sharaab ko deta hai..
ashiq bhi ilzaam shabaab ko deta hai..
koi nahi karta, kabool apni bhool..
kanta bhi ilzaam gulaab ko deta hai..
Poetry
Web Page Maker, create your own web pages.